We all must know what are we saying to ALLAH in namaz...
Sanaa: Ay ALLAH tu paak hai, aur tamaam tareefein tere hi liye hain, aur tera naam bara barkat wala hai, aur teri shaan bohat buland hai, aur tere siwa koi ibadat ke laiq nahi.
Taooz: Me ALLAh ki panah me aata hoon shetaan mardood se.
Tasmiya: Shuru kerta hu ALLAH ke paak naam se jo baRa meharbaan aur nihayat reham kerne wala hai.
Fatiha: Har tarha ki tareef ALLAH hi ke liye hai jo tamaam kainaat ka paalne wala hai, jo baRa meherban nihayat reham kerne wala hai, malik hai roz-e-jaza ka, hum teri hi ibadat kerte hain aur tujh hi se madad mangte hain, hamein seedha raasta dikha, wo raasta jis per tunay inam kiya, na keh un logon ka raasta jin per tera azaab hua aur na hi gumraahon ka (aameen).
Surat-ul-Ikhlaas: Keh do keh ALLAH aik hai, ALLAH be-neyaaz hai, naa uski koi aulaad hai aur na wo kisi ki aulaad hai, aur koi uska hamsar nahi.
Ruku': Paak hai mera Rab bari azmat wala.
Ruku' se uthne ki dua: ALLAH ne uski sun li jisne uski tareef ki, Ay ALLAH hum teri hi tareef kerte hain.
Sajda: Paak hai mera Rab bohat Aala martbe wala.
Tashud: Tamam zuban ki badni aur maali ibadaat ALLAH ke liye hain, Ay ALLAH ke Nabi aap pe ALLAH ki rehmat aur barkatein hon, rehmatein hon hum per aur ALLAH ke saleh bandon per, me gawahi deta hoon keh ALLAH ke siwa koi ibadat ke laiq nahi aur me gawahi deta hoon keh Hazrat Muhammad ALLAH ke bande aur rasool hain.
Darood: Ay ALLAH rehamatein farma Hazrat Muhammad aur unki aal per jese tune rehmatein farmaein Hazrat Ibrahim aur unki aal per, beshak tu tareef ke laiq hai buzurgi wala. Ay ALLAH barkatein farma Hazrat Muhammad aur unki aal per jese tune barkatein farmaein Hazrat Ibrahim aur unki aal per, beshak tu tareef ke laiq hai buzurgi wala.
Dua: Ay mere Rab, mujhe aur meri aulaad ko namaz qaim kerne wala bana, Ay hamare rab hamari dua qabool ker, ay Parwardigar mujhe aur mere walidein aur sab imaan walon ko us din maaf ker dena jab hisaab qaim hoga.
Salam: Tum per salaamti aur ALLAH ki rehmat ho.

Comment