aaj do logon nay kaha, ke confused, please pray for me.. confused nay suna, maana, dil say lagaaya, chooma chaata, aur dua kari...(qubool huee ke nahi, ye allah parr munassir hay).. par usnay SUNI zaroor..
confused bhai aaj chaar dinn ho gaye hain, beemaar hain aur zabardast qisim ke sinus attack, muscle-structure-being-jammed, physical kamzori, aankhon main jalan, aur halkay phulkay bukhaar, jesi jumla beemaariyon ka shikaar hain..
awaam-un-naas say guzaarish kari jaati hay, ke confused bhai ke liyay 'dua' farmaayen.. jab ye baat sarkaari torr par kari gayee thee, to jo dua milee, wo dua-e-khair to thee, par lagi badd-duaa karkay.. sarkaari banday nay jo dua kari thee, wo ye thee ke "confused bhaiyya, allah karay aapko gori chitti dulhann milay, ghar ka version ek saal purana ho, bahir ka current ho.. college jaatay harr larki aapko dekh ker muskuraaye (KIYA dekh kar aur KYOON muskuraaye, mention nahi kiya) and number teen, apki life main KABHI koee tension nahi aaye.."
aur confused bhai ki lagg gayee phaintee last thursday ko.. ye duaa bhee baddua ki tarah lagi ..aur confused bhai ko job par WO baalti bharr ke jullaaab huaa <
> ke alaamaan,alhafeez!!
, department bandd karkay confused bhai ko aadhi shift karkay bhaagna para..
pahlay life main tension thee, abb kambakhat tension main poori life aa gayee hay
..
gupshup ke mambaraan say darkhuwaast kari jaati hay ke apni apni jai-namaazain bicha karr jabb allah ke huzoor, apnay liyay, tv, bv, gari, mehal, aur job maangain, to choti si jugaar confused bhai ke liyay bhee fit kar dain.. ke allah unko WO sehat ataa farmaaye ke confused bhai wapis hinhinaatay nazar aayen..
allah sabb ka bhala karay ga.. ek dua ke jawaab main dus dus (kuch ke liyay giyaara) nekyaan likhay ga hisaab main ..
nawazish+shukria...
*cheenktay-main-hinhinaata-confused*

Comment