Such to yeh hai ke tumhare bina jee nahi sakta 
laiken itna ehsaas to ho chuka hai mujhe ke mein kiya bhuul chuka tha.
Ab tumhare na mumqin rahon mein chal chal ke, yeh ehsaas ho chuka hai ke zindagi pyar se berh ke bhi hai. Mere saat mera khuda hai! mera ghum nahi!
Chaha to tumhey bohut, ab bhi chahtey hain, marte dum chahenge. Jab tuk tum kissi aur ki na hojao, hum tumhey apna hi manenge. puurey dil se chahenge,
Kitni takleef se guzra yeh zindagi ka hissa, her pal tumhey na paaney ki soch rakhi thi, aur jab bhi is soch ko bahar nikala, to dil ka ek tukra gir tuut para. aur ab, is khubsurat raat mein, dil puura tuut chuka hai.
Kissi aur ke saat tumhey dekhna nahi chahta, laiken itni dua phirbhi nikalti hai muun se. Ke tumhey koi humsey ziada pyaar kerne wala miljaye. Kasam se ager woh zinda hai to woh meri aankhon ke saamney ek heera hai. Koi tumhey humse ziada chahey, kaash, tumhey humse bhi ziada khush rakhey. Is pal koi tumhey is deewane se ziada nahi chah sakta!
Itni si to dua hai, apni fikar nahi, duniya ki fikar nahi, ek muskurahat tumhari kaafi hai, jo mujhe apne apko bhuuladey, apni pareyshaaniya bhuuladey, apney saarey ghum bhulaadey.
Pata hai, ansoo to her raat nikalte hain, ghum to her pal jaan leta hai, laiken ajj itni khubsurat raat ko, jab mere ansoo chandni ka aaina ban ke chamak rahey thay, to ehsaas hua. Tumse pyaar kerna kitni guroor ki baat hai. Muskurahat chah gayi hai chehre pe, ke hum tumse pyaar kerte hain. Is deewane ke liye itna hi kaafi hai...bohut guroor ata hai.
Ab tumko hum painge ya nahi, nahi janta mein. Khuda per bharosa hai mujhe, zindagi to jeeni hai sukoon se mujhe. Mein Tumhe chor to nahi raha, rahogi tum dil mein ek bund raaz, laiken nahi chahiye mujhe yeh ghum, yeh dukh, yeh bhikra mera dil. Haan pyaar kerta huun tumse, laiken ab jee ker dhekluun. Ab jeena chahta huun mein.
Pyaar hai sirf tumse, tumhare sapne khuaab armaan, sub puure kerna chahta huun. Issi baat ka sabse bara dukh hai, ke woh puure kerne ke liye mein nahi.
Ager tumhey humse pyaar thora sa bhi hojaye, to matt batana mujhe. Kahin mein khushi se marr na jaon.
MUJHE NAHI PATA WHY IM TYPING THIS
! Laiken mein bohut khush huun abhi, really! Bus app sub log dua kersakte hain mere liye to plz kerdein. Thats all i want rite now.
People, pyaar vyaar ke chakker mein nahi perhna until you know everything is possible. Let other love you
before you love them. Werna puuri zindagi zaaya hojaati hai.
Jiyo, bus allah per bharosa rakho, woh haina sub ek dum set kerne wala

Allah ho akbar!!!!
anyways im not coming on gupshup anymore, mera mood nahi horaha kuch kerne ka ajj kal.
Cya guys soon haan
this place always cheered me up!
Dheko ab kab milna hota hai...
Salam, sub apna khayal rakhein, aur sub khush rahein, sub pakistanion aur muselmaano ko dekh ke waaqi dil khush hota hai
love u all!!!!

Comment