Thee, kitaab-e-zeest warq warq koi silsila hi na mil saka
Kisi zaat ka kisi naam se koi raabta hi na mil saka
Koi khwaab thaa ke khayal thaa woh suroor thaa ke saraab thaa
Khuli aankh dekha jo gaur se koi faisla hi na mil saka
Na thee door manzil-e-aarzoo dil-e-khush gumaan ka kusoor kya
Sar-e-raah aisa gubaar thaa humein raasta hi na mil saka
Ajjab ibtida huwi ishq ki ke mizaaj gaya aisa badal
Kaheen aur dil ko laga sakain humein hausla hi na mil saka
Kaho 'Sarwat' ab bhi akeli ho, naee raah tum ne chunni thee kya
Kisi rehnuma ka gilla hai ya koi qaafila hi na mil saka
Comment