Tassawur kay hasee'n chehray say hairaani nahee'n jaatee
Zamaanay ki haqeeqat bhi tau pehchhani nahee'n jaatee
Badaltay hi nahee'n taywar teri yaado'n kay mausam kay
Tabhi aankho'n kay daryao'n ki tughyani nahee'n jaatee
Faraawaa'n bhi hai har shai aur garaani bhi hai roze afzoo'n
Faqat ik nasal-e-insaa'n hee kee arzaani nahee'n jaati
Nahee'n aatay ghareebo'n hi kay din achhay nahee'n aatay
Ameero'n tak kabhi koyee praishaani nahee'n jaati
Sayaah baadal thay pehnaawa falak ka, ab zamee'n ka hai'n
Yaha'n ab soorat-e-insaa'n bhi pehchaani nahee'n jaatee
Nawaabo'n aaur zardaaro'n ka qabza hai yahaa'n 'noorie'
Tabhi tau mulk say apnay yeh sultaani nahee'n jaatee
Comment