Kaha nahiN tha vo shehar aaseb hai tum us ki taraf na jao
vahaN ye ruuhoN ko barf jismoN maiN
dafan karne ki rasm sardiyoN se chal rehi hai
vahaN pey aankheN hanuut kar ke bhii loG saRkoN pe ghuumte haiN
vahaN tou siinoN maiN patHroN ke haiN dil maqqiid
jo dhaRkanoN se haiN aise a'rii
bina haqeeqat saraab jese
bagher khushbu ghulaab jese
kaha nahiN tha vo shehar aaseb hai tum uski taraf na jao
vahaN tou khawaboN ka khoon kar ke bhii loG neendoN se khelte haiN
vahaN tou jazboN ki fasl pakne ki der hai bas...
kHaRe kHaRe he zamaana iska kharaaj maanGe
vahaN ka a'iin hai azl se, koi bhii jazba mohabbattoN ka pinp na paaye
tum aaj zakHmoN ke is khazeene ko
apne haatHoN ki thaaliyoN maiN sajaaye hairat zada se kyun ho?
tumhari aankhoN ki putliyoN maiN likha hua ye azaab kyuN hai?
Gehan zada sa, mohabattoN ka batao ye aaftaab kyuN hai?
yehi tou tum se kaha tha janaN!
vo shehar-e-aaseb hai tum us ki taraf na jao.
*sigh*

Comment