kuch log bhi wehmoun mein giriftaar buhat hain
kuch sheher kii galiyaan bhi purisraar buhat hain
hai kon, utarta hai wahan jis k liye chaand?
kehne ko to chehree pase-deewaar buhat hain!
honton pe sulagte hue inkaar pe mat ja
palkon se pare bhegte iqraar buhat hain
ye dhoop kii saazish hai k mousam kii shrarat?
saee hain wahan kam jahan ashjaar buhat hain!
be harf-e-talab un ko ataa ker kabhi khud se
wo yun ke sawaali tere khud-daar buhat hain !
tum munsif-o-Adil hii sahii sheher mein lekin
kyoun khoon k cheente sar-e-dastaar buhat hain?
ae hijr kii bastii, tu salamat rahe lekin
sunsaan tairee kucha-o-bazaar buhat hain
mohsin hamein zid hai k ho "Andaaz-e-bayaan aur"
hum log bhi ghaalib k tarafdaar buhat hain

Comment