Hujoom-e-ghum sey jis dum aadmi ghubra sa jata hai
Tau aisey main
Ussey awaaz per kaboo nahi rehta
Wo itney zoor sey furyaad kerta, cheekhta aur bilbillata hai
Kay jaisey wo zameen per aur khuda ho aasmaanoo per
Magr aisa bhi hota hai
Kay us ki cheekh ki awaaz rukney sey pehlay hi
Khuda is kadur nazdeek sey aur is kadur
Rehmut bhari muskaan sey us ko thapukta
Aur us ki baat sunta hai
Kay furyaadi ko apni cheekh ki shiddut aur
Sada ki bay-chainee per nadamut honay lagti hai..
*Amjad Islam Amjad

Comment