Raat Ki Rani Ki Khushbu Say Koi Yeah Keh Day
aaj ki shub na meray pass ayae
aaj taskeenay masahm-e-jaan ko
dil kay zukhmoan ki mehak he kafi hay
yeah mehak, aaj sarey shaam he jaag utthi hay
ab yeah bheege hue bojhal pulkhain
aur numnaak udas ankhain liyae
rut jaga asa manayae ge kay khud bhe jagay
aur pul bhar kay liyae main bhe nan sonay paun
deuo malaa'e fasanoan ki kisi muntaziray' mausamay' gul, rajkumare ki khizaan bukht
dukhi rooh ki manind
bhutaknay kay liyae
ku ba ku abr-e-paraishan ki tarah jayae ge
dur uftada smandar kay kinarau baithe
pehroan is simt takay ge jahan say aksar
us kay gum gushta jazeroan ki hawa aate hay
gayae mausam ki shanasa khusbu
yun rag-o-pai main uterte hay
keh jaisay koi chumkeela, ru pehla seyyal
jism main asay sarayat ker jayae
jaisay sehraon ki shuryanoan main pehle barsih!
ghair mehsus sarosh-e-nikhat
zihan kay haath main woh ism hay
jis ki dastuk
yaad kay bund darechoan ko bare nurme say
asay kholay ge keh angan mera
hur darechay ki alag khushbu say
rung dur rung chaluk jayae ga!
yeah dil awaiz khazanay
meray piyaroan ki ata bhe hain
meray dil ki kamaye bhe hain
in kay hotay huyae aoroan ki zaroorat kiya hay
Raat Ki Rani Ki Khushbu Say Koi Yeah Keh Day
aaj ki shub nan meray pass ayae!

Comment