Kab yaad mein tera saath nahi, kab baat mein tera haath nahi
Sad shukar ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahi
Mushkil hain agr halaat wahan, dil bech aayein, jaan dey aaein
Dil walon kocha-e-janan mein kiya aisay bhi halaat nahi
Jis dhaj sey koi muqtil mein gaya, woh shaan salamat rehti hai
Yeh jaan tu aani jaani hai, is jaan ki koi baat nahi
Medaan-e-wafa darbaar nahi, yaan naam-o-nasab ki pooch kahan
Aashiq tu kisi ka naam nahi, kuch ishq kisi ki zaat nahi
Gar bazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga do dar kaisa
Gar jeet gaye tu kiya kehna, haarey bhi tu bazi maat nahi
Comment