Bichar ke mujh se na zindagi bhar udas rehna
Kaha thaa mein ne
Jo hosakay tu tamaam yaadain samait lena
Kaha thaa mein ne
Phir aaj apni wafa ke daman mein zakhm lekar udas kyo ho
Muhabbaton ki ruttoon mein apna khayal rakhna
Kaha thaa mein ne
Wohi huwa na, ke manziloo ko ganwa kar tanha bhatak rahe ho
Sambhal ke chalna, faraib dega har ek rasta
Kaha thaa mein ne
Milain kuch aise zakhm bhi ghehray bichar ke jeena muhal thehray
Na itni shiddat se zindagi bhar kisi se milna
Kaha thaa mein ne
Mein ab bhi nafrat ke zehar ugalti fiza mein tanha sulagh raha hon
Tumhare baad is nagar mein koi nahe hai apna
Kaha thaa mein ne
Aur ab tu donoo hi apni apni wafa ke raizoo ko chun rahe hain
Zamaana pathar, tu pyar apna hai ek sheesha
Kaha thaa mein ne
Bata 'Tabassum' jawab sun kar nazar kyo khamoshi se jhuka li
Gae dinoo ka kabhi na mujh se sawal karna
Kaha thaa mein ne
[Sarfraz Tabassum]
Comment