Announcement

Collapse
No announcement yet.

Oos shaksh meiN aisii baat kya hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    Oos shaksh meiN aisii baat kya hai

    chhoTe bahar kii ye ghazal aaj hii puri kii hai maine...soncha aap logon se share karooN...

    ye zindagii kii bisaat kya hai
    jeet kya hai aur maat kya hai

    Dil meiN sharaarat,aankh meiN aaNsoo
    Tum hi kaho ye , jazbaat kya hai

    wafaa ne hii tujhe bewafaa banaaya
    Warna terii, auqaat kya hai

    nafratoN meiN bhii rahta hai meri
    Oos shaksh meiN aisii baat kya hai

    Meri peeth aur tera khanzar
    Dosti meiN ye saugaat kya hai

    mere liye Jab uThaaya hai patthar
    To phir ye jhijhak , ye ihtiyaat kya ha

    #2
    pramod ji bahut umdah kavish hai apki.

    Comment


      #3
      buhat khoob
      Owner Of Mehkama-e-Sharafat

      Comment


        #4
        bhut khoob parmod ji

        Comment


          #5
          Re: Oos shaksh meiN aisii baat kya hai

          Originally posted by Pramod:
          chhoTe bahar kii ye ghazal aaj hii puri kii

          Meri peeth aur tera khanzar
          Dosti meiN ye saugaat kya hai

          mere liye Jab uThaaya hai patthar
          To phir ye jhijhak , ye ihtiyaat kya ha

          Bohat khoob Pramod...keep it up
          Reh gaya kaam hamaara hi baghawat likhna...

          Comment


            #6
            bohat khoob,

            Comment


              #7
              honsla afzaai ke liye aap saboN ka bahot bahot shukriya
              Bhooli Bisari,D King,nikki, Amal and *** Vivacious ***

              Comment


                #8
                Nice pramod gi
                your lips are keep moving .
                but all i hear is... Blah Blah Blah

                Comment


                  #9
                  bohat khoob :-)

                  mujhe nahi pata tha ke aap bhee likhte hain aur acha khasa likhte hain.

                  Comment


                    #10
                    Re: Oos shaksh meiN aisii baat kya hai

                    Originally posted by Pramod:
                    mere liye Jab uThaaya hai patthar
                    To phir ye jhijhak , ye ihtiyaat kya ha
                    Now this contains poetic philosophy. I appreciate ur work Pramod
                    Mere junoon ka na lo imtihaan,
                    Jaanan

                    Comment


                      #11
                      nice one Pram je....thanks 4 sharing per ap ko tu poetry main sirf Nikami,chand,aur amal he nazar atey aur kbhi kisi ki post dekhi taak nahi
                      ~BadlooN peR baseRa~

                      /)/)..(\(\

                      ( ._.).(._. )
                      o(_(')(')..(')(')_)o

                      Comment


                        #12
                        Shukriya Chaand jii.....

                        Comment


                          #13
                          Originally posted by ~Nazish~:
                          bohat khoob :-)

                          mujhe nahi pata tha ke aap bhee likhte hain aur acha khasa likhte hain.
                          haaN zara tukbandiii kar lete haiN...
                          waise GS pe hamesha maine apnii he creations post kii hai...aap logon kii honsla azaai se thoda confidence mil jaata hai.....

                          bahot bahot shukriya aap ka Nazish jii....

                          Comment


                            #14
                            Re: Re: Oos shaksh meiN aisii baat kya hai

                            Originally posted by Capricorn:

                            Now this contains poetic philosophy. I appreciate ur work Pramod
                            Thanks for your appriciation, Capricorn. These words will go a long way with me.

                            Comment


                              #15
                              Originally posted by Koyal:
                              nice one Pram je....thanks 4 sharing per ap ko tu poetry main sirf Nikami,chand,aur amal he nazar atey aur kbhi kisi ki post dekhi taak nahi
                              sab se pahle to ghazal pasand karne aur daad dene ke liye bahot bahot shukriya Koyal jii....
                              ab rahii aap ki shikaayat kii baat to kuchh had tak aap theek kahti haiN..meri problem ye hai ke mujhe sirf ghazaleiN samajh mein aati haiN aur mostly I like to appriciate the shaayar. es forum par maximum log kisi aur shaayar kii creations post karte haiN..jo yaa to maine padhii hoti hai ya phir I appriciate the shaayar....Amal sahab bahot achha likhte hain..oonkii creations se mujhe khud kuchh seekhne ko milta hai...

                              Nikami Bahna aur Chand jii mostly ghazals post karti hain aur oon kii choice....REALLY GREAT...aur ye na naaje kahaaN se ghazaleiN dhoodh ke laati haiN..most of the times maine nahin padhee hoti hai..

                              These are the reasons..but ab main koshish karoonga ke aap ko ye shikaayat kam rahe mujh se.....

                              Comment

                              Working...
                              X