Announcement

Collapse
No announcement yet.

kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

    kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale
    maathe pe tere aik jo shikan thi , mitaa chale

    waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
    tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale

    aaraam tha kuch aag ki garmi se zaKhm ko
    aaye voh meri kabar par , shama bhujhaa chale

    kaise banaoon us jagah khwaboon ka aashiyaan
    har samit fareboon ki jahaan par hawaa chale

    usne hamaari khwaahishen pairon tal'e raundiin
    har aik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale

    haathon ki lakiiron ko bajaa jaan kar chup hoon
    kismat mein hai liKhaa jo uspe zor kya chale !

    nakaam hasraton ko bhulaane kahaan jaate !!
    nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale

    "Lamhay" Yoon Ghum-e-yaar tu seene mein chupale
    chehra bhi gar koi parhe , kuch na pataa chale !!!!!

    Ki Mohammad (S.a.w )se wafa tu ney tu Hum terey hain
    yeh jehan cheez hai kya Loh-o-Qalam terey hain...!!
    ______________

    #2
    Kiya baat hai....

    by the way where have you been and where are you....
    _______________________________________
    Hijar main khoon rulatay ho kahaan hotay hoo
    Loat kar koyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

    Comment

      #3
      Originally posted by Dilsay:

      Dilsay ji aab aap nay itna dilsay pocha hai tu main yahin kahin khoye theen zindagi k jhameelay main aur ab yahin hi hoon !!

      Ki Mohammad (S.a.w )se wafa tu ney tu Hum terey hain
      yeh jehan cheez hai kya Loh-o-Qalam terey hain...!!
      ______________

      Comment

        #4
        yaar zindagi kay jahamalloon main say time nikal kar apnay chahnay waly dostoon ko deedar kara diya karoo.... aap ka kiya jata hai hum bas asay he apna khoon kam kartay rahtay....
        _______________________________________
        Hijar main khoon rulatay ho kahaan hotay hoo
        Loat kar koyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

        Comment

          #5
          Originally posted by Dilsay:
          yaar zindagi kay jahamalloon main say time nikal kar apnay chahnay waly dostoon ko deedar kara diya karoo.... aap ka kiya jata hai hum bas asay he apna khoon kam kartay rahtay....

          Araay na na khoon ko kam na karaye aaj kaal waisay bhi machar karachi shehar per chahaye huay hain deedar hogaya na
          waisay dil say ji aap bhi koi dilsay poetry post karain na beside shairs!!

          Ki Mohammad (S.a.w )se wafa tu ney tu Hum terey hain
          yeh jehan cheez hai kya Loh-o-Qalam terey hain...!!
          ______________

          Comment

            #6
            Originally posted by Lamhay:

            deedar rooz rooz howa kary to kiya baat hai.... karachi walay khush mismat hai ka aap ko dekh latay hain.... khas toor par wo sabzi wala... jis say aap rooz miltee hoo...

            and seems like you did not read my posting Abb mujahay jana hai.... read and let me know...

            wasay main har kam dilsay he karta hoon... vo aap ka deedar ho ya poetry...
            _______________________________________
            Hijar main khoon rulatay ho kahaan hotay hoo
            Loat kar koyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

            Comment

              #7
              Re: kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

              Originally posted by Lamhay:
              kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale
              maathe pe tere aik jo shikan thi , mitaa chale

              waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
              tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale

              aaraam tha kuch aag ki garmi se zaKhm ko
              aaye voh meri kabar par , shama bhujhaa chale

              kaise banaoon us jagah khwaboon ka aashiyaan
              har samit fareboon ki jahaan par hawaa chale

              usne hamaari khwaahishen pairon tal'e raundiin
              har aik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale

              haathon ki lakiiron ko bajaa jaan kar chup hoon
              kismat mein hai liKhaa jo uspe zor kya chale !

              nakaam hasraton ko bhulaane kahaan jaate !!
              nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale

              "Lamhay" Yoon Ghum-e-yaar tu seene mein chupale
              chehra bhi gar koi parhe , kuch na pataa chale !!!!!

              Mashallah ... kia khoob hain woh log jo mehktay howay zakhm day jatay hain .... thanks for sharing
              Meray Roz O Shab k Nisaab Main Meray Paas Apna To Kuch Nahi

              Comment

                #8
                Originally posted by Dilsay:

                deedar rooz rooz howa kary to kiya baat hai.... karachi walay khush mismat hai ka aap ko dekh latay hain.... khas toor par wo sabzi wala... jis say aap rooz miltee hoo...

                and seems like you did not read my posting Abb mujahay jana hai.... read and let me know...

                wasay main har kam dilsay he karta hoon... vo aap ka deedar ho ya poetry...
                Well sabzi wala akar guzar bhi jaye per hum nahi letay sabzi u know aaj kaal tu sabzi waloon ko fursaat kahan ghar ghar akar dey ab tu khudh jana parta hai market
                ji aap ki poetry parhi jawab nahin kia kehna dilsay likhi hai aap nay!
                aap haar kaam dilsay kartay hain aur hamari poetry dilsay parhnay ka shukriya !!

                Ki Mohammad (S.a.w )se wafa tu ney tu Hum terey hain
                yeh jehan cheez hai kya Loh-o-Qalam terey hain...!!
                ______________

                Comment

                  #9
                  Re: Re: kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

                  Originally posted by Azad:

                  Mashallah ... kia khoob hain woh log jo mehktay howay zakhm day jatay hain .... thanks for sharing

                  Nawazish aap ki Azad ji !!

                  Ki Mohammad (S.a.w )se wafa tu ney tu Hum terey hain
                  yeh jehan cheez hai kya Loh-o-Qalam terey hain...!!
                  ______________

                  Comment

                    #10
                    Re: Re: Re: kadmoon mein tere aakhiri dharkan bichaa chale !!

                    Originally posted by Lamhay:

                    Nawazish aap ki Azad ji !!
                    Adaab
                    Meray Roz O Shab k Nisaab Main Meray Paas Apna To Kuch Nahi

                    Comment

                      #11
                      *waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
                      tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale *

                      wah kya baat hai..! beautiful!

                      Comment

                        #12
                        Originally posted by weteyes82:
                        *waqt-e-nizaa itni tassalli to thi dil ko
                        tum be-wafaa hue to hue , Hum nibhaa chale *

                        wah kya baat hai..! beautiful!
                        thanks wet eyes!!

                        Ki Mohammad (S.a.w )se wafa tu ney tu Hum terey hain
                        yeh jehan cheez hai kya Loh-o-Qalam terey hain...!!
                        ______________

                        Comment

                          #13
                          very nice

                          Comment

                            #14
                            bohat khoob, Lamhay sis..

                            Comment

                            Working...
                            X