Announcement

Collapse
No announcement yet.

main faqat tere dastarus main hun!!!!!!!!!!!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    main faqat tere dastarus main hun!!!!!!!!!!!!!!

    tu meray jism-o-jaan ki khwahish hay
    sheray gul say gubar-e-sahra tuk
    tere khushbu ko main nay pehna hay
    teray perhanoan ke runggat say
    titliyoan nay uran sekhe hay
    tere batoan kay taza mausam main
    jugnuoan ka hunnar mila mujh ko
    teray hontoan ka lums apna ker
    phul cheray banayae hain main nay
    tere bahoan say roshni lay ker
    main nay khush rung aks utaray hain
    bam-o-dur say tulu hotay hain
    teray zinda sitara-o-mehtab
    mere ankhoan main ruks kertay hain
    teray cheray kay khoobsurat aks
    main tujhay roaz yaad kerta hun
    tu magar loat ker nahin aata
    roshni to kabhe nahin bujhte
    tere qamut ko daikhnay kay liyae
    din ko main ayenay sajata hun
    tujh say milnay ki arzu lay ker
    shub ka durwaza khutkatata hun
    apnay khwaboan ka woh shajur hun main
    jis per suraj nay dhup utare hay
    saray mausam badal gayae meray
    andhaiyoan main bikhur raha hun main
    rah guzaroan say dur raha hun main
    in saraboan ka kiya kara koi
    jin ke lehroan pay piyaas likhe hay
    asay sagar ka kiya karay koi
    jis kay sahil pay aag julte hay
    tere tasweer meray samnay hay
    husn tera pukarta hay mujhay
    tere awaz hay pasay dewar
    teray hatoan main sada khguz hay
    aur main likh raha hun aaj ke shaam
    ishq main hun nan main hawas main hun
    main faqat tere dastarus main hun!!!!!!!!!!!!!!

    #2
    Bahut khoob

    Comment


      #3
      Very nice.... tells everything one could feel
      _______________________________________
      Hijar main khoon rulatay ho kahaan hotay hoo
      Loat kar koyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

      Comment


        #4
        beautiful!

        Comment


          #5
          Meray Roz O Shab k Nisaab Main Meray Paas Apna To Kuch Nahi

          Comment


            #6
            buhat khub

            Comment

            Working...
            X