ek juu-e-dard, dil se jigar tak, ravaaN hai aaj ..
pighla hua ragoN maiN ik aatish-fishaaN hai aaj ..
lab see diye haiN taa na shikaayat kare koi ..
lekin har ek zaKhm ke muooNh maiN, zabaaN hai aaj ..
taareekiyoN ne ghair liya hai, hayaat ko ..
lekin kisi ka ru-e-haseeN, darmiyaaN hai aaj ..
jeene ka waqt hai yahi, marane ka waqt hai ..
dil apni zindagi se bahut, shaadamaaN hai aaj ..
ho jaata hooN shaheed, har ehal-e-wafa ke saath ..
har daastaan-e-shauq, meri daastaaN hai aaj ..
aaye haiN kis nishaat se, ham qatl-gaaha maiN ..
zaKhmoN se dil hai choor, nazar gul-fishaaN hai aaj ..
zindaaniyoN ne tor diyaa, zulm ka Guroor..
wo dab-daba wo raub-e-hukumat, kahaaN hai aaj ?
by
Ali Sardar Jafri
Comment