Announcement
Collapse
No announcement yet.
Lala-e-Sehra
Collapse
X
-
sure Ana
Ye gumbad-e-minaii! ye aalam-e-tanhaii!
Mujh ko tou daraatii hai is dasht ki pehnaii
BhaTka hua raahi meiN, bhaTka hua rahii tou!
Manzil hai kahaN teri ai Lala-e-seharaii!
Khali hai kaleemoN se ye koh-o-qamar warna
Tu shola-e-seenaii, meiN shola-e-seenaii
Tu shaakH se kyuN phuuTa, meiN shaakH se kyuN TuuTa
Ik jazba-e-pedaii! ik lazat-e-yaktaii
Ghwaz-e-mohabbat ka Allah nigehbaan ho!
Har qatra-e-darya maiN, darya ki hai gehraii
Is moj ke maatam maiN roti hai bhanwar ki aankH
Darya se uthi, lekin saahil se na Takraii
Hai Garmii-e-aadam se hanGama-e-aalam garam
Suuraj bhee tamashaii, taare bhee tamashaii!
Ai baad-e-beyyabaani mujh ko bhee inaayat ho
Khamoshi-o-dilsozi, sarmasti-o-raanaaii!
Comment
Comment