do lafz is zubaaN sey jo keh paoN, to sakooN paoN ..
apni Ana ko dafn maiN kar paoN, to sakooN paoN ..
karta raha he mujh pe hakoomat mera zameer ..
is zulm-e-musalsal se nikal paoN, to sakooN paoN ..
dars-e-wafa ka boojh mere shaanoN pe dhara he ..
is baar ko kaaandhoN se hata paoN, to sakooN paoN ..
ankhoN ki nami mujh se chura le gaya koi ..
qatraey kisi se maang ke laaoN, to baha paoN ..
sargoshiyaaN pheli hain, ab har simt jahaN maiN ..
aye kaash ke is shor ki had se maiN nikal jaoN ..
khamooshiyaN, tanhaayaaN or apni zaat hoo ..
in mehfilooN se door, kahin doooor chala jaoN ..
safar-e-hayaat le chala he mujh ko baha ke ..
do pal ko tehar jaoN, to kuch hosla bhi paoN ..
meri nazar se guzre hain kitne hi mekadey ..
masjid se nikal paoN, to onki taraf bhi jaoN ..
kehtey hain yaar, pee ley! bas ik ghoont hi pee ley ..
darta hoon kaheen, apni nazar sey na main gir jaoN ..
is zindagi main dost mile hain bohot mujhe ..
hamzaad garr ik dhoondhna chahooN, to kidhar jaoN? ..
nafrat si bass gai hay ab qalb-o-dimagh main ..
aisa na ho ke aag main, apni hi main jal jaoN ..
har shaks mujhe dekh kar ibrat ka sabaq le ..
main naqash aise choor kar, duniya se guzar jaoN ..
By Me.
Comment