Announcement

Collapse
No announcement yet.

RaastoN ki marzi hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    RaastoN ki marzi hai

    Bay zameen logoN ko
    Bay qaraar aankHoN ko
    Bad naseeb qadmoN ko
    Jis tarf bhee le jaayeN
    RaastoN ki marzi hai


    Bay nashaaN jazeeroN par
    Badd gumaaN shehroN maiN
    Bay zabaaN musaafir ko
    Jis tarf bhee bhaTka deN
    RaastoN ki marzi hai


    Rok leN ya bhaRne deN
    THaam leN ya girneN deN
    Wasl ki lakeeroN ko
    ToR den ya milne deN
    TaastoN ki marzi hai


    Ajnabi koi laa kar
    Hamsafar bana daaleN
    Saath chalne waaloN ki
    RaakH bhee uRa daaleN
    Ya musaafteN saari
    kHaak maiN mila daaleN
    RaastoN ki marzi hai
    RaastoN ki marzi hai.

    (Farhat Abbas Shah)

    #2
    I've always loved this. Thanks for posting.
    Save Pakistan.

    Comment


      #3
      Pleasure is all mine

      Comment


        #4
        Wah .. one of my fav.
        Ajeeb itefaaq hay ... raat baarish main bheegtay howay yeh nazm humaray saath saath rahi.

        Islamabad pyar say pyara shehir hay, Baarish main chaltay howay Bari sarkar kay chawalon ka maza hi alag hoga hay.
        Raat gay baruff bari nay to aisa saman bandh diya tha kay sari zindagi ke pehlay pyar ka ishaas samany rakhain tab bhi kum parr jay. Hum apni khush naseebi par naaz hi kartay rahain gay... keh allah nay aisay lamhon say humara damn e dil bhar diya hay .......... forget it hum bhi kahan ki kahan kar rahay hain.

        Anyways thaks for sharing
        Meray Roz O Shab k Nisaab Main Meray Paas Apna To Kuch Nahi

        Comment


          #5
          Ya rastay he hain
          Jo rishtay behi bna detay hain
          Jo rolatay behi hain aur hansata behi hain

          Very beautiful....

          Thanks...
          _______________________________________
          Hijar main khoon rulatay ho kahaan hotay hoo
          Loat kar koyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

          Comment


            #6
            Nice

            Comment


              #7
              4 u ppl

              AGAR KOI TUM SAY PUCHAY KAY ZANDIGI KIA HAY
              HATILY PAY KHAK RAKHNA OR URAAY DANA


              i hope u will like it

              Comment


                #8
                bhutttt khoob

                Comment


                  #9
                  Owner Of Mehkama-e-Sharafat

                  Comment


                    #10
                    Thanks.

                    Comment


                      #11
                      good1

                      Comment


                        #12
                        phir say bohut khoob kiyon kay aaj phir baarish ho rahi hay
                        Meray Roz O Shab k Nisaab Main Meray Paas Apna To Kuch Nahi

                        Comment


                          #13

                          Comment


                            #14
                            yeh aap ka mou aisay hay ... yeh bukhar ki waja say humara sir ghoom raha hay
                            Meray Roz O Shab k Nisaab Main Meray Paas Apna To Kuch Nahi

                            Comment


                              #15
                              Lovely

                              Comment

                              Working...
                              X