Hum ney sooch rakha hai
chahey dil ki hur khwahish
zindigi ki aankhoon sey ashk bun kay beh jaye
chahey ab makeenooN per
ghur ki saree diwarain chut sameet gir jayien
aur bay-mukadur hum
is badun kay mulbay main khud hi kiyon na dub jayien
tum sey kuch nahi kehna
kaisi neend thee apni, kaisey khwab thay apney
aur ab gulabooN per
neend wali aankhooN per
nurm-ro sey khwabooN per
kiyon azaab totey hain
tum sey kuch nahi kehna
ghir gaye hain ratooN main
bay-libaas baton main
is tarah ki ratooN main
kub charaagh jaltey hain, kub azaab tultey hain
ab tu in azaabooN sey buch kay bhi nikalney ka raasta bhi nahi raha
nahi janaaN
jis tarah tumhey such kay lazawaal lamhooN sey waasta nahi JanaaN
hum ney sooch rakha hai
tum sey kuch nahi kehna..

Comment