Tamheed!!
Ghulam gardishon say hotay howay ….
Kabhi kabhi aik gehray rang ki larki …
pass say guzar jati hay,
koi baat momasilat rakhti hay kisi say ..
jo bazahir nazar nahi aati,
ghoor karo to samajh bhi na aay,
maghar us lamhay main kaii rang aa kar
be-rang ehsaas ko chu kar
gulab ban jatay hain…..
Tum:
Haan waqee tum yaad aati ho
Un lamhon main
Jab kabhi kabhi
Main bhool jata hoon
Khud say door nikal jata hoon
Kia yeh momkin hay
Keh un lamhon main
dhiray say …..
Dil angan main, Tum aa jaya karo
Chaltay chaltay rah main mil jaya karo
Bad’gumaan reh kar talkhi say sahi
Yon hi halka sa muskoraya karo
Who:
Tum meri mohabat nahi ho maghar
Sabub dil dharraknay ka ban jaya karo
Apni manzil kay phonchnay tak hi
Ajnabi sii hum’safar ban jaya karo
Nahi dua, to aah ban kar hi
Honton say lipaT jaya karo
Our Main:
Her roz shaam say pehlay
Ghar aapnay, tum loT gaya karo
Thorr kar buth’ takhayol kay Azad~
Sajday main kabhi to gir jaya karo
Adab Arz
(Azad)
Ghulam gardishon say hotay howay ….
Kabhi kabhi aik gehray rang ki larki …
pass say guzar jati hay,
koi baat momasilat rakhti hay kisi say ..
jo bazahir nazar nahi aati,
ghoor karo to samajh bhi na aay,
maghar us lamhay main kaii rang aa kar
be-rang ehsaas ko chu kar
gulab ban jatay hain…..
Tum:
Haan waqee tum yaad aati ho
Un lamhon main
Jab kabhi kabhi
Main bhool jata hoon
Khud say door nikal jata hoon
Kia yeh momkin hay
Keh un lamhon main
dhiray say …..
Dil angan main, Tum aa jaya karo
Chaltay chaltay rah main mil jaya karo
Bad’gumaan reh kar talkhi say sahi
Yon hi halka sa muskoraya karo
Who:
Tum meri mohabat nahi ho maghar
Sabub dil dharraknay ka ban jaya karo
Apni manzil kay phonchnay tak hi
Ajnabi sii hum’safar ban jaya karo
Nahi dua, to aah ban kar hi
Honton say lipaT jaya karo
Our Main:
Her roz shaam say pehlay
Ghar aapnay, tum loT gaya karo
Thorr kar buth’ takhayol kay Azad~
Sajday main kabhi to gir jaya karo
Adab Arz
(Azad)
Comment