Announcement

Collapse
No announcement yet.

wu shaam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    wu shaam

    Assalam alaikum everyone....... here is a piece by ibne insha enjoy!!

    us shaam wu rukhsat ka saman yaad rahaiga.....wu shahr wu kocha wu makan yaad rahaiga
    wu tees kai ubhri thi idher yaad rahaigee...wu dard kai utha tha yahan yaad rahaiga
    hum shauq kai sholai ki lapak bhool jaingai....wu shaam-e-fasurda ka dhuan yaad rahaiga
    kuch 'Mir' ki ibyaat thin kuch 'Faiz' kai misrai....ik dard ka tha jee main bayan yaad rahaiga
    jaan bakhsh se thi us gulburg ki taravat...wu lams-e-azeez-e-dojahan yaad rahaiga
    hum bhool sakai hain na tujhai bhool sakain gai....tu yaad rahaiga humain haan yaad rahaiga
    Darkness reigns at the foot of the lighthouse

    #2
    Very nice....

    And welcome...
    _______________________________________
    Hijar main khoon rulatay ho kahaan hotay hoo
    Loat kar koyoon nahi atay hoo kahan hotay hoo

    Comment


      #3
      awesome
      waqaee woh sham nahi bohltee

      Comment


        #4
        Thank you for taking the time to read it and appreciate it Dilsay and ghazal kisi ki
        Darkness reigns at the foot of the lighthouse

        Comment


          #5
          nice :
          ~ ... palat k har taraf se kyon nazR us shaks per thehrii?
          wafa k silsilo`N kii wo, musalsal inteha thehra
          ...~

          Comment


            #6
            Zabardast


            ~*~! Wo Akhri Shaam !~*~

            Naee rutoon ka naya safar
            Tumhein ijaazat hai bhool jaana
            Hazar salon pe sabt 'chaahat' ki pori tarekh bhol jana
            Magar ....
            Sarab-e-mazi ki khwab aloda roz-o-shab ke woh akhri
            Shaam yad rakhna
            Woh akhri shaam...
            Jab tumhari meri nigahoon ne
            Ek doje ke dil ke ander utar ke shafaf aenoo mein
            Khud apne chehroon ke aks dekhay tu ro paray thay
            Woh aakhri shaam...
            Jab mujhe tum ne kaha tha
            Ke chand dekho tu sarsaraati hawa ke
            Dil pe meri tamana ke naam koi paighaam likhna
            Woh akhri Shaam yaad rakhna.......!
            Teri nigahon se jab mein apni nigah chura ke
            Pallat raha thaa tu tum ne kuch bhi nahee kaha tha
            Magar.................
            Hawa mein nami achanak barh gaee thee

            Comment

            Working...
            X