Announcement

Collapse
No announcement yet.

Dastak

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    Dastak

    Kahin padha tha...

    Muhabbat ka darya khushk hota nahin barishon ke rooth jaane se
    Khatm hoti nahin chahaten kisi ke door chale jaane se

    Kahin suna tha...

    Muhabbaton main khone aur paane ka bayan nahin hota
    Jo bhi mil jae sood hai, kho jae kuch to zayan nahin hota

    Padhte rahe sunte rahe muhabbat ki hikayaten bohut
    Puri hotin dekhi rasmen aur tootin rivayaten bohut

    Dekhe kai roop muhabbat ke kai roop jaane hain
    kai raaz hue ayan bohut abhi anjaane hain

    Kiyun koi saath reh kar bhi dil ke paas nahin hota?
    Kiyun kabhi bohut kho kar bhi khone ka ihsaas nahin hota?
    Kiyun muhabbat main shiddat se aage badhne wale dabe paon palat jaate hai?
    kiyun jeeti hui baazi ke muhre yak ba yak ulat jaate hain?

    Manaa muhabbat main kisi cheez ki haajat nahin hoti
    Ek baar badh kar phir palatne ki riwayat nahin hoti

    Ankahi aa kar darmayan thehr jae to muhabbat adhoori hai
    lafzon ki barish na sahi, izhaar ki phuwaar zaroori hai

    Band darwazon per dastak dene wale aakhir thak jaate hain
    yehi waja hai shiddaton se aage badhne wale ek din palat jaate hain
    We should care for each other more than we care for ideas, or else we will end up killing each other.

    #2
    Re: Dastak

    aap bhi shair niklay nice Kaya baat hai
    "The point is Allah. And everything besides Allah, is besides the point."

    Comment


      #3
      Re: Dastak

      Pasandeedgi ka shukriya. Lagta hai aap ne meri pehle post ki hui shairi nahin padhi.
      We should care for each other more than we care for ideas, or else we will end up killing each other.

      Comment


        #4
        Re: Dastak

        agar ap ki apni hai tu yahan pe aik or khoobsurat shairi likhne wale ka izafa...welcome here
        Live 4 others.....chuchu

        Comment


          #5
          Re: Dastak

          Pazeerai ka shukria. Yeh maine aaj se Paanch saal pehle likhi thi. Kal ittefaq se maine apni purani diary chhoti sister ke hath main dekh li aur wahan se yeh Nazm aur 'Chehra Shanaas' post kardin.
          We should care for each other more than we care for ideas, or else we will end up killing each other.

          Comment


            #6
            Re: Dastak

            Beautiful one

            likhty rahiye aur humary sath share karty rahiye
            O Allah the Almighty
            protect me and guide me

            Comment


              #7
              Re: Dastak

              Nice one
              Hay Ta'aluk Tu Aik Saada Lafz
              Phair Ju Kuch Bhee Hay Nibah Main Hay

              Comment


                #8
                Re: Dastak

                loved it

                Kiyun koi saath reh kar bhi dil ke paas nahin hota?
                Kiyun kabhi bohut kho kar bhi khone ka ihsaas nahin hota?
                Kiyun muhabbat main shiddat se aage badhne wale dabe paon palat jaate hai?
                kiyun jeeti hui baazi ke muhre yak ba yak ulat jaate hain?


                Comment


                  #9
                  Re: Dastak

                  Thanks LiPpY
                  We should care for each other more than we care for ideas, or else we will end up killing each other.

                  Comment


                    #10
                    Re: Dastak

                    Yah AIA and Mohsin naqvi say mutasir ho kar likhi gai hay buhat khoub
                    No Sindhi No Balochi,No Muhajir No Pathan, No Punjabi No Saraiki
                    I...AM...ONLY...PAKISTANI
                    P A K I S T A N
                    ............Z I N D A B A D

                    Comment


                      #11
                      Re: Dastak

                      Yeh AIA aur Mohsin Naqvi Kon hain?
                      We should care for each other more than we care for ideas, or else we will end up killing each other.

                      Comment


                        #12
                        Re: Dastak

                        very nice!

                        Comment


                          #13
                          Re: Dastak

                          Very nice
                          Be someone that makes YOU happy

                          Comment

                          Working...
                          X