Baab-E-Hairat Se Mujhe Azn-E-Safar Hone Ko Hai
Tahniyat-E-Dil Ke Ab Deewar, Dar Hone Ko Hai
Khol Dein Zanjeer-E-Dar Aur Hauz Ko Khaali Karein
Zindagi Ke Baagh Mein Ab Sepahar Hone Ko Hai
Maut Ki Aahat Sunaayi De Rahi Hai Dil Mein Kyun
Kya Muhabbat Se Bahut Khaali Safar Ka Ho Hai
Gard-E-Reh Bankar Koi Haasil Safar Ka Ho Gaya
Khaakh Mein Milkar Koi Laal’a-O-Guhar Hone Ko Hai
Ik Chamak Si To Nazar Aayi Hai Apni Khaakh Mein
Mujh Pe Bhi Shaayad Tawwajjo Ki Nazar Hone Ko Hai
Gumshuda Basti Musafir Laut Kar Aate Nahin
Mojiz Aisa Magar Baar-E-Digar Hone Ko Hai
Raunak Baazaar-O-Mehfil Mein Kam Nahin Aaj Bhi
Saaniha Is Sheher Mein Koi Magar Hone Ko Hai
Ghar Ka Saara Raasta Is Sarkhushi Mein Kat Gaya
Is Se Agle Mod Koi, Hamsafar Hone Ko Hai

Comment