Mohabbat dosti ghairat deyanat chheen leti hai |na jaane aur bhi kya kya seyasat chheen leti hai ||mere khwabo'n ko taabeere'n mayassar ho'n to kaisey ho'n ?meri saari kamaai to zaroorat chheen leti hai ||naee tahzeeb ke deewaano'n ko ye kaun samjhaae ?zara si bhonl bhi purkho'n ki izzat chheen leti hai ||dupatta sar pe rakh leney mein aakhir harj hi kya hai ?numaaish husn ki kitno'n ki asmat chheen leti hai ||gila kaanto'n se kya zulmo-sitam to unki fitrat hai |gulo'n ki berukhi jeene ki chaahat chheen leti hai ||kabhi paao'n taley se khee'nch leti hai zamee'n zalim |kabhi ye zindgi 'Jawed' se chhat chheen leti hai || ---Hatim Jawed
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Hatim Jawed ki shairy
Collapse
X
-
Re: Hatim Jawed ki shairy
Betiya'n sasuraal betey kaam par baahar gaye |
De ke boorhey baap ko tanhaai ki chaadar gaye ||
Mar chuki thi laadli beti dawao'n ke baghair |
Bech kar apna lahoo jab tak palat kar ghar gaye ||
Kaarkhaney hum se zinda hum watan ki jaan hain |
Hum ne hi ghalla ugaya hum hi bhookey mar gaye ||
thi yahi uski khata wo hoobsoorat thi bahot |
Chaak daaman uski ismat ka darindey kar gaye ||
iss qadar JAWED khasta ho chuki hai chhat meri |
Naam baarish ka suna to mere bachchey dar gaye ||
---Hatim Jawed.
Comment
Comment