salaam dosto,
kaise mizaaj haiN? ummeed hai k ba_Kahir hoNge.
aaj ek 'arsa_haa-e-daraaz ke ba'd idhar se guzar huaa to sochaa kuchh nazraana pesh kartaa chaluuN gar qubool uftaad!
aapkii Hausalah_afzaaii aur aaraa-e-tanqeed o tanqees kaa shiddat se intizaar rahgaa...aapkaa peshgii shukria adaa kartaa huN
to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye:
faqat Khaak_nashiiN.
_______KKF
1.
roop badloge to kia Khud bhii badal jaaoge
'umr bhar tark-e-tamannaa kii sazaa paaoge
2.
dil sulagtaa hai to seene se dhuaaN uThtaa hai
aatish-e-'ishq se kis taur amaaN paaoge?
3.
ham judaa ho ke bhii jii leNge, basar kar leNge
tum hii, vai'Hshat_zadah! tanhaaii se ghabraaoge
4.
aa rahii hai mire kaanoN meN bahaaroN kii sadaa
ham_damo! kab gul_bulbul kii Khabar laaoge?
5.
shaam aatii hai to dil Doob ke rah jaataa hai
raat bhar raah dikhaaoge, kahaaN aaoge!
6.
raat baaqii hai abhii, kooch kaa samaan karo
pau phaTe doorii-e-manzil se laraz jaaoge
7.
chaand meN, gul meN, bahaaroN meN, chaman_zaaroN meN
har HasiiN shai meN nazar aaoge, taRpaaoge!
8.
log milte haiN, bichhaRte haiN jahaaN meN har_dam
aaj bichhRoge to kal Hashr meN mil jaaoge!
9.
laakh tafseer kare vai'Hshat-e-dil kii "Sai'hbaa!"
baat itnii hai ki har rang meN yaad aaoge

Comment