Saarey waadon ko bhula sakta hoon
Lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hoon
Lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho Khuda hafiz
Faisla main bhi suna sakta hoon
Lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali
Us per main muskura b sakta hoon
Lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday
Main tumhein yaad dila sakta hoon
Lekin rehne do..!
Comment