Bechain baharon mein kya-kya hai jin ki khushbu ati hai
joh phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai
kal rat dikha kay khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya
har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai
talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne
mandir kay darichon se jaise loban ki khushbu ati hai
kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun
jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai
kuch tu hai mujhe ab samjha dey ai kufr duhai hai teri
kyun shekh kay daman say mujhko iman ki khushbu ati hai
darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun
ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai

Comment