Announcement

Collapse
No announcement yet.

Hamsafer

Collapse
X
 
 • Filter
 • Time
 • Show
Clear All
new posts

  Hamsafer

  Maire humsafar, tujhey kya khabar
  Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon k khail sa
  Isey daikhtey, isey jhailtey
  Maire ankh gard se att gai
  Maire khuwab rait mai kho gaye
  Maire hath barf se ho gaye
  Maire bekhabar tere naam per
  Wo jo phool khilte they hont per
  Wo jo deep jalte the baam per,
  Wo nahi rahey
  Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
  Wo hawa chali
  Wo kisi sham aise hawa chali
  K jo barg the sar-e-shakhe Jan, wo gira diye
  Wo jo harf darj the rait per, wo ura diye
  Wo jo raaston ka yakeen thay
  Wo jo manzilon k ameen thay
  Wo nishan-e-pa bhi mita diye!
  Maire humsafar, hai wohi safar
  Magar aik moor k farq se
  Tere hath se maire hath tak
  Wo jo hath bhar ka tha fasla
  Kai mosamon mai badal gaya
  Usey naptey, Usey kat taye
  Maira sara waqt nikal gaya
  Tu maire safar ka shareek hai
  Mai tere safar ka shareek hon
  Per jo darmayan se nikal gaya
  Usi fasley k shumar mai
  Usi be yakeen se ghubar mai
  Usi rahguzar k hasar mai
  Tera rassta MAYRA RASTA
  Maira rasta tayra rasta
  _________________

  #2
  Re: Hamsafer

  very nice ...

  Comment


   #3
   Re: Hamsafer

   Maire humsafar, hai wohi safar
   Magar aik moor k farq se
   Tere hath se maire hath tak
   Wo jo hath bhar ka tha fasla
   Kai mosamon mai badal gaya
   Usey naptey, Usey kat taye
   Maira sara waqt nikal gaya   Very Nice... Tnx for sharing
   (\__/)
   (_)
   JabBhi Milti Hay Mujhay.......

   Comment

   Working...
   X