Announcement

Collapse
No announcement yet.

hay faseelain utha raha mujh main

Collapse
X
 
 • Filter
 • Time
 • Show
Clear All
new posts

  hay faseelain utha raha mujh main

  hay faseelain utha raha mujh main
  janey ye kon aa raha mujh main

  jhon mujh ko jila-watan ker kay
  wo meray bin bhalla raha mujh main

  mujh say us ko rahee talash,umeed
  so bahut din chuppa raha mujh main

  tha qayamat,sakoot ka aashob
  hashr sa ik bapa raha mujh main

  pas-e-parda koee na tha phir bhi
  ik parda kincha raha mujh main
  Wo Tou Pani K Qatry Hain Jo Aankhon Se Beh Jaaty Hain.
  Ansu Tou Woh Hoty Hain Jo Dard Ban K Aankhon Mein Hi Reh Jaaty
  Hain.....!!
Working...
X