Announcement

Collapse
No announcement yet.

Is anything left in this nazm....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

    Is anything left in this nazm....

    I love this poem, but idon't know whether it's complete and the lines are in order or not.If anyone heard it then plz. correct the sequence....

    Yunhi bay-sabab na phira karo, koi shaam ghar main raha karo

    Woh ghazal ki sachi kitaab hai, ussay chupkay chupkay parha karo

    Koi haath bhi na milaey ga, jo galay milo gey tapak say..

    Yeh naey mizaaj ka shehr hai, zara faasilay say mila karo

    Abhi rah main kaee more hain, koi aaey ga koi jaey ga

    Tumhain jis nay dil say bhula diya, ussay bhoolnay ki dua karo

    Mujhay ishtihaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan

    Jo kaha nahi woh suna karo, jo suna nahi woh kaha karo!

    Kabhi husn pardah naseen bhi ho, zara aashiqana libaas main

    Jo main ban sanwar kay kahin chalon, merey saath tum bhi chala karo

    Nahi bey hijaab woh chaand sa keh nazar ka koi asar na ho

    Ussay itni garmi e shoq say barri dair tuk na taka karo!!!!!


    by Basheer badar

    #2
    i think its complete.. thanks for sharin.. really luv this ghazal
    ~ ... palat k har taraf se kyon nazR us shaks per thehrii?
    wafa k silsilo`N kii wo, musalsal inteha thehra
    ...~

    Comment


      #3
      ๑۩۞۩๑ Rude Boyz Rulez ๑۩۞۩๑
      @~King Of WesT LonDon[email protected]

      Comment


        #4
        Thanks alot

        Comment

        Working...
        X