Usse kehna
Hamare paooN meiN jo raasta tha
Raaste meiN paiR the
PaiRooN pe jitni tairooN ki toliyaaN ham se
Mila karti theiN
Ab woh uRte thak gai haiN
Woh ganni shaakheiN jo ham pe saya karti theiN
Woh sab murjha gai haiN
Tum usse kehna
labooN pe lafz haiN
lafzooN meiN koi daastaaN, qisah kahani
Jo usse aksar sunate the
Kise ja kar sunaeiN ge?
bataeiN geke ham mehraab-e-aabroo meiN sitaare taankne wale
Dar-e-lab bosa-e-izhar ki dastak se aksar kholne wale
Kabhi bikhari hui zulfooN meiN ham
Mehtaab ke gajre bana kar bandhne wale
Chiraagh aur aaine ke darmiyaaN kab se sar-e-sahil
khaRe maujooN ko takte haiN
Usse kehna
Usse ham yaad karte haiN
Usse kehna ham aa kar khud usse milte magar maqtal badalte
mausmooN ke khoon meiN rangeen haiN aur ham
Aise bohut se mausmooN ke darmiyaaN tanha khaRe haiN
Jaane kab bulawa ho? Ke ham meiN aaj bhi ik umr ki
Waraftagi aur weh****ooN ka raqs jaari hai, woh bazi jo
Bisaat-e-jaaN pe kheli thi ham ne na jeeti hai
Na haari hai
Usse kehna
Kabhi milne chale aae
Usse ham yaad karte haiN
[Saleem Kausar]

Comment