Aaisa nahiN ke pyaas ka sehra nahiN hooN maiN
Lekin miyaaN-e-khaimah-o-darya nahiN hooN maiN
Gar aag hooN to shole se bahir nahiN gaya
Gar phool hooN to shaakh se nikla nahiN hooN maiN
Yeh log dhoondte haiN kisi se mutabiqat
Mera yeh maslah hai ke khud sa nahiN hooN maiN
Guldaan meiN mari hui titlee aur aik phool
SochooN to agar, to us se ziyadah nahiN hooN meiN
[Abbas Tabish]

Comment