kitaab keecharr mein gir parri thi
chamaktey lafzon ki meli aankhon mein uljhey aansoo bula rahey they
magar mujhey hosh hi kahan tha
nazar mein ik aur hi jahan tha
naey naey manzaron ki khwaahish mein apney manzar se kutt chuka hun
naey naey daairon ki gardish mein apney mehwar se hutt chuka hun
sila, jaza, khauf, naumeedi
umeed, imkaan, beyyaqeeni
hazaar khaanon mein butt gaya hun
ub iss se pehley ke raat apni kamand daaley yeh chahta hun ke laut jaaun
ajab nahin woh kitaab ub bhi wahin parri ho.......
ajab nahin aaj bhi meri raah dekhti ho
chamaktey lafzon ki meli aankhon mein uljhey aansoo
hawa-o-hirs-o-hawas ki sub gard saaf kar dein
ajab nahin mujhko merey lafz maaf kar dein....
ajab gharri thi
kitaab keechar mein gir parri thee
--Iftikhaar Arif
Comment