I would like to share this beautiful ghazal which was already posted by someone ...
Tu aasmaan na thaa aur na mein sitaara thee
Tu aik kinaara tu main doosra kinaara thee
Woh abar ban ke chupa leta mere suraj ko
Yeh baat mere muqaddar ko kab gawaara thee
Mein us ko aur zamaanay ko dosh kiya deti
Judaee tu meri taqdeer ka ishaara thee
Aik aisa daur bhi aaya thaa zindagi mein meri
Ke us kay hotay huwe bhi mein be-sahaara thee
Jo boo rahi hai adaawat ke beejh zehanoo mein
Woh shaksiyat tu muhabbat ka aaeenaa thee
Woh janta thaa mein us se bichar hi jaaongi
Yeh baat mujh pe bhi pehlay se aashkaara thee...

Comment