- Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar
Magar yaqeen hai kay lauT aaieN gey naghma-e-nau bahaar bunn kar
Yeh kiya Qiyamat hai baaghbaano! kay jinn kee khaatir bahaar aaiee
Wohi shagoofay khaTak rahay haiN tumhaari aankhouN maiN Kaar bunn kar
JahaaN waalay hummaaray geetouN say jaaizah laiN gey siskiyouN kaa
JahaaN maiN phel jaaieN gey hum bashar bashar kee pukaar bunn kar
Bahaar kee budd-naseeb raataiN bulaa rahi haiN challay bhee aao
Kissi sitaaray kaa roop lay kar kissi kay dil kaa qaraar bunn kar
Talaash-e-Manzil kay marhalouN maiN yeh haadisaa ik ajab dekhaa
Fareb raahouN maiN beTh jaataa hai soorat-e-aitebaar bunn kar
Ghuroor-e-masti nay maar daalaa wagarnaa humm loug jee hee laitay
Kissi kee aankh kaa noor ho kar, kissi kay dil kaa qaraar bunn kar
Diyaar-e-MughaaN maiN aa kar yeh ik Haqeeqat khuli Saaghar
Khudaa kee basti maiN rehnay waalay tau looT laitay haiN Yaar bunn kar
Announcement
Collapse
No announcement yet.
~*~Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar~*~
Collapse
X
-
~*~Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar~*~
“Quite often good things have hurtful consequences. There are instances of men who have been ruined by their money or KILLED by their COURAGE.” ~AristotleTags: None
-
Re: ~*~Agarchay humm jaa rahay haiN Mehfil say naala-e-dil figaar bunn kar~*~
Originally posted by Anwaar Qureshi:- Bahaar kee budd-naseeb raataiN bulaa rahi haiN challay bhee aao
Kissi sitaaray kaa roop lay kar kissi kay dil kaa qaraar bunn kar
"Today in heaven they opened up a new chest dedicated to charity. It's name ?"
Comment
- Bahaar kee budd-naseeb raataiN bulaa rahi haiN challay bhee aao
Comment