koi mujh ko mera bharpoor sarapa la day,
meray bazoo,meri aankhain,mera chehra la day
aisa darya jo kisi aur samandar may giray
is say behtar hay kay mujh ko mera sehra la day
kuch nahi chahiye tujh say ay meri umray rawan
mera bachpan,meray jugnoo,meri gurya laday
naya mosam meri beenaee ko tasleem nahi
meri aankhon ko wohi khawab purana la day
jis ki aankhain mujhay andar say bhi parh sakti hon
koi chehra tau meray shehar may aisa la day
kashtiye jan tau bhanwar may hay kaee barson say
ay khuda ab tau dabo day yah kinara la day
From Yaroo

Comment