Kiyoon nahin aai woh? Kiya baat hui hay aakhir?
Khud iss baat par so baar woh uljha ho gaa
Kal woh aaiey gee tu mein uss se nahin boloon gaa
Aap hi aap kai baar who rootha ho gaa
Woh nahin hay tu bulandi ka safar kitna kathin
Seerhiyaan charhtey huey uss ne socha ho gaa
Rahdaari mein, harey lawn mein,phoolon ke qareeb
Uss ne har simt mujhey aan ke dhoondha ho gaa
Naam bhooley se jo mera kahin aya ho gaa
Ghair mehsoos tareeqey se woh chonka ho gaa
Aik jumley ko kai baar sunaya ho gaa
Baat kartey huey sau baar woh bhoola ho gaa
Yeh jo larki nai aai hai…kahin woh to nahin?
Uss ne har chehra yahi soch ke dekha ho gaa
Jaan-e-mehfil hai magar aaj faqat merey baghair
Hai kiss darja wohi bazm mein tanha ho gaa
Kabhi sannaton se wehshat jo hui ho gee ussey
Uss ne besakhta phir mujh ko pukaara ho gaa
Chaltey chaltey koi maanoos si aahat paakar
Doston ko bhi kissi uzr se roka ho gaa
Yaad kar ke mujhey num ho gai hon gee palkein
aankh mein par gaya kuch keh ke yeh tala ho gaa
aur ghabra ke kitaabon mein jo lee ho gee panah
har satr mein mera chehra ubher aya ho gaa
USS ne aik lamhey ko dekha mujhey aur phir hans dee
uss hansi mein to who talkhi thi ke uss se agey
kiya kaha uss ne..mujhey yaad nahin hai laiken,
itna maaloom hay "khawaboon ka bharam toot gaya"
( Parveen Shakir )
Comment