Jhankta teri ankhoon se zamanay ka khala
Tere hontoon pe muslut hai bhari der ki pyaas
Tere seenay mein raha shoor-e-baharaan ka kharosh
Ab tu sansoon mein na gurmi hai na awaz, na baas
Tu ne ik umer se bazoo bhee nahi pehla-ay
Phir bhee bahoon mein hai sadiyon ki takan ka ehsaas
Tere chehre pe sakoon khail raha hai lekin
Tere seenay mein tu Toofa-an garajte hoon ge
Bazm-e-konain teri ankh mein veeran sahi
Tere khawab-on k mehlaat tu sajtay hoon ge
Gur-che ab koi nahi koi bhee nahi aay ga
Phir bhee aahat pe tere kaan tu bajte hoon ge
WaQt hai naag tere jism ko dusta ho ga
Dekh ker tujh ko hawa-ein bhee bhuperti hoon gi
Sub tere saa-y ko aasaib samajhtay hoon ge
Tujh se hum-joliyaan kutra ker guzarti hoon gi
Tu jo tunhaai k ehsaas se rooti hoo gi
kitni yaadein tere ashk-on se ubherti hon gi

Comment