yun to maiN nazm bahot kam likhta hooN..magar ye meri eik puraani nazm hai..shaayad pahle bhii kabhii post kii hogii..yaad nahin..phir bhii aaj padh raha tha to soncha aap logon se share karooN...
Etna gahra tha rang-e-hina oos ki hatheli par
Mere naam ki lakeer oos meiN kahiN kho gayee
Main bhatakta raha apni taqdeer ki talaash mein
Aur meri bebas taqdeer oos hatheli par hi so gayee
Wo rang chha gaye meri ankhoN meiN baadloN ki tarah
Mere jazbaat ashqoN meiN badal gaye
Mere ehsaas ne dhaal diya enheiN boondoN meiN
aur kal shab eik saba ke jhonKe mein bah gaye
haaN ! magar rang tha oosi hina ka
jo meri taqdeer ko kha gayee
aur aaj lahoo ban ke
meri aankhoN ko rula gayee.
By Pramod

Comment